बुधवार, 5 अगस्त 2009

Swayamvar

Kahawat hai ki,
Geedar ki zab maut aati hai to wo shahar ki or aata hai,
Aur Sachchai hai ki,
Zab beti ki kismat phodani ho to baap uska swyamvar rachaata hai,
Mere sangyaan main,
Do bade etihasik swyamvaron ki misaal hai,
Zinko rachaane ka
Dono swargwasi baapon ko malaal hai,
Pahli swyamvar parinity Sita,
Jo daamptya jeevan ka zara bhi sukh nahi paayee,
Doosri Dropdi, jisne bhari sabha main apni durgati karaayee,
Tathaa, Vyaas jaise marmagya aur dharmgyaani
jo maanvataa ke hit main bahut kuch anya likh sakte the
se, Mahabharat jaise,
Bhaiyon ke yuddha se varnit granth ki rachanaa karaayee,
Swyamvar main varit patiyon ki kismat bhi
Bramhaa nahi koyee aur likhtaa hai,
Aisaa pati hota to hai raajaa
Par Sudaamaa se baddtar dikhtaa hai,
Raajpaat chhoot jaataa hai,
Sagaa rishtedaar maal loot jaataa hai,
Darbadr thokren khaate hai
Ghaas Phoos ke bistaron par sote hai,
Raat din varit patni ko haarne yaa khone ke gam main rote hai,
Aajkal phir Swyamvaron kaa chalan panap rahaa hai
Do swyamvar hi kaphee bhaaree pare the,
Zinhone laraayee maarkaat ke
zabardast aur dardnaak granth gadhe the,
Yaa Khuda, Tu mauj lene ke liye roz chamatkaar karta hai
Seriously koyee aisaa chakkar chalaa,
ki ab, Swyamvar se vivaahit jode kee
Tal jaaye har balaa,
"Gopalji"

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें